Tuesday, August 23, 2016

Hazrat Imam Yusuf Rahmatullah Alaih

HAZRAT IMAM YUSUF RAMATULLAH ALAIH UMMAT KE UN AZEEM MOHSINO MAI SE HYN JINKE AHSANAT SE IS UMMAT KI GARDAN HAMESHA JHUKI RAHEGI. KHAS TAUR SE FIQAH E HANAFI KE MAAN NE WALON KELIYE UNKI KHIDMAAT NA QABIL E FARAMOSH HYN. UNHONE NA SIRF BA HAISIYAT FAQIH APNE SHAIKH HAZRAT IMAM E AAZAM ABU HANEEFA RH.A. KE ULOOM KO UMMAT KI TARAF MUNTAQIL KIYA BALKI QAZI UL QAZA ( CHIEF JUSTICE ) KI HAISIYAT SE IS FIQAH KO MAHAZ NAZARIYATI HAISIYAT SE NIKAAL KAR JEETI JAAGTI ZINDAGI MAI AMALAN NAFIZ FARMAYA.
Hazrat Imam Abu Yusuf rh.a. Ke walid ibraheem unke bachpan mai hi intaqal farma gaye the. Unki walida ne fikr e ma'aash ki wajha se unko ek dhobi ke hawale kar diya. Lekin unhe padhne ka shauq tha lihaza ye ja kar Imam Abu Haneefa rh.a. Ke dars mai bethne lage. Walida ko ilm huaa to unhone mana kiya aur is bina par woh kai roz Imam Abu Haneefa ke dars mai na jaa sake. Zaheen aur shauqeen talib e ilm par ustad ki khas nazar ho hi jati hy. Jab kai din baad abu yusuf dars mai aaye to Imam Sahab ne ghair hazri ki wajha puchi. Unhone sara maajra bayan kar diya. HAZRAT IMAM ABU HANEEFA RH.A. NE DARS KE BAAD ABU YUSUF KO BULAYA AUR AUR EK THELI UNKE HAWALE KI JISME 100 DARHAM THE AUR KAHA IS SE KAAM CHALAO AUR JAB KHATM HO JAYE TO MUJHE BATANA.
IMAM ABU YUSUF farmate hyn uske baad kabhi mujhe imam saab ko batane ki nobat nahi aayi ke theli khatm ho chuki hy balki jaise unko ilham ho jata aur woh doosri theli ata farma dete.
Unki maa chahti thi ke woh koi kaam seekh le taki kamane ke layaq ho jaye. Ispar IMAM E AAZAM NE UNKI WALIDA SE KAHA
"YE TO PISTE KI KHEER MAI FALOODA KHANA SEEKH RAHA HY."
Abu yusuf ki walida ne ise mazaq samjha aur chali gayi.
IMAM ABU YUSUF FARMATE HYN KE ISI ILM KE BADAULAT ALLAH NE MUJHE QADR O MANZILAT ATA FARMAI AUR MAI CHIEF JUSTICE KE OHDE TAK PAHUCHA. HAROON RASHEED KE SAATH DASTAR KHWAN PAR KAI BAAR KHANA KHANE KA ITTEFAQ HUAA. EK BAAR KHALEEFA HAROON AL RASHEED KE PAAS BETHA THA KE EK PYALA MUJHE PESH KITA GAYA AUR BATAYA GAYA KE YE BADI KHAS CHEEZ HY JO KHALEEFA KE LIYE BHI KABHI KABHI BANTI HY. MAINE PUCHA AMEER UL MOMINEEN YE KYA HY.
HAROON NA KAHA "YE PISTE KE ROGHAN MAI BANA HUAA FALOODA HY."
Ye sun kar mujhe hairat ki wajha se hasi aa gayi. Haroon Rasheed ne hasne ki wajha puchi to maine sara qissa bayan kar diya. Woh bhi hairat zada rah gaya aur kahne laga "ALLAH S.W.T. IMAM ABU HANEEFA RH.A. PAR RAHAM FARMAYE WOH APNI AQL KI AANKH SE WOH KUTCH DEKHTE THE JO CHASHM E SAR SE NAZAR NAHI AA SAKTA."
( Tareekh e baghdad page 245 jild 14 )
IMAM ABU YUSUF APNE USTAD IMAM E AAZAM ABU HANEEFA RH.A. KI WAFAT KE BAAD QAZI UL QAZA YANI CHIEF JUSTICE BANE AUR 17 SAAL TAK IS MANSAB PAR RAHE. AAPNE QURAAN AUR SUNNAT KE MUTABIQ FAISLE FARMAYE. YAHA TAK KE KHALEEFA E WAQT KO BHI AAPNE ADALAT MAI HAZIR HONE KE HUKM DIYE AUR KAI BAAR UNKE KHILAF BHI FAISLE SUNAYE.
FIQAH E HANAFI KO AAPNE PURI HUKUMAT KA QANOON BANA KAR NAFIZ KIYA JO KHILAFAT E USMANIYA KE AAKHRI DAUR TAK ISLAMI DUNIYA KA QANOON RAHA. BAAD MAI AAL E SAUD JAB HUKMARAN HUYE TAB SAUDI ARAB MAI IMAM AHMED BIN HANBLE RH.A. KE FIQAH KO QANOONI HAISIYAT DI GAYI.
IMAM AHMED BIN HANBLE RH.A. FARMATE HYN
"JAB MAINE ILM E HADEES HASIL KARNA CHAHA TO SAB SE PAHLE QAZI ABU YUSUF RH.A. KE PAAS GAYA USKE BAAD DOOSRE MASHAYAKH SE ILM HASIL KIYA. "
( Tareekh e Baghdad page 255 jild 14 )
( SOURCE ; JAHAAN E DEEDA , by MAULANA MUFTI MUHAMMAD TAQI USMANI RH.A. )

0 comments:

Post a Comment

Visitors

Flag Counter