Tuesday, August 23, 2016

Sar Dhanp kar Namaz Padhna




Sar Dhamp Kar Namaz Parhna Sunnat Hai
Sarr Dhamp Kar Namaz Parhneka Masla…
Jaisa Ap Sab Jante Hoge Ke Ghair Muqallideen Harr Ijmai Masle Ko Lekar Iktelaf Paida Karte He Usmese Ek Masla Sarr Dhamp Kar Namaz Parhna Bhi Shamil He…
Ahle Sunnat Wal Jammat Ke Nazdeek Sarr Dhamp(Topi,Amama Ya Rumal Se) Kar Namaz Parhna Sunnat Ya Mustahab Hai Yehi Nahi Bulke Hazrat Muhammad Salalallahu Alaihi Wassalam Bhi Namazo Me Sarr Kisi Na Kisi Cheez Se Dhanka Hua Rakhte Aur Yehi Amal Ko Dekh Sahaba Raz Aur Tabain Rah Bhi Namazo Pe Topi Ya Ammama Pehne Huye Hote
Magar Ajj Kal Ghair Muqallideen Ke Chand Hazrat Jese Zakir Naik,Adv. Faiz Ahmed Wagaira Ne Fitna Nikala He Ke Topi Ke Bagair Namaaz Hojati He Aur Na Honeki Ki Koi Hadees Sanad E Sahih Se Maujood Nahi Yeh Unlogo Ka Chalenge Hota He Jinko Kitab Aur Sunnat Ki Koi Samajh Nahi..
Lehaza Kuch Dalil Mulaiza Farmaye Wakai Haqq Wale Kaun He Aur Sunnat Pe Chalne Wale Kaun Hain Dekhte He..
☀ ALLAH TA’ALA KA FARMAN☀
☀Allah Ta’ala Farmate Hain- “Ya Bani Aadama Kuzu Zeenatakum Inda Kuli Masjid”
Tarjuma- Aye! Bani Adam, Jab Tum Namaz Padhne Lago Toh Khubsurat Libas Pehan Liya Karo..
(Sura No.7 Sura A’araaf Ayat no. 31)
* Inda Kuli Massjid Se Murad Inda Kuli Salatin Hai..
ISS AYAT KA MANA BAYAN KARTE HUYE SALAF KYA FARMATE HE DEKHTE HE..
☀1) Imam Ibn Quddama Hambali Rah Farmatey He- “Agar Koi Insan Ek Kapda Pahen Ke Namaz Parta He To Uske Liye Kafi He, Agar 2 Kapde Pahenke Namaz Qayam Karta He To Uske Liye Zada Behtar He, Aur Agar Koi 4 Kapde Pehan neko Iktiyar Karleta He Toh USKI NAMAZ KAMIL AUR MUKKAMAL HOJATI HAI..
AUR VO 4 KAPDE HE- KAMEEZ, TAIBAND,PAIJAMA AUR AMAMA YA TOPI..
(Al Mugni Lil Qudama Jild 2 Safa136)
☀2) Shaikhul Islam Muhammad Bin Zaid Al Kausari Rah Farmate He “Lafaz E Zeenat Me Sarr Dhampna Shamil Hai”
(Maqalaat E Kausari Jild 1 Safa 171)
☀3) Imam Ibn Tayymiyah Rah Ne Bhi Zeenat Se Muraad Satar Ke Alawa Ke Kapdo Ko Kaha He..
(Fatawa Kubra Lil Ibn Taymiyyah)
☀4) Miya Nazeer Hussain Dehlavi Jo Ahle Hadees Ke Shaikhul Kul Fil Kul He Iss Ayat Ke Tehad Farmate He- Yeh Ayat E Mubaraka Se Yeh Sabit Hota He Ke Topi Aur Amame Se Namaz Parhna Aula (Mustahab) Hai Aur Jo Susti Aur Kotahi Ke Wajah Se Langa Sarr Namaz Parhe Usski Namaz Makrooh He..
(Fatawa Nazeeriya Jild 1 Safa- 240)
Lehaza Salaf Wa Khalaf Ke Nazdeek Bhi Masnoon Tarika Sarr Dhamp Kar Namaz Parhneka He Jo Quran E Pak Ki Ayat Se Sabit Hui..
RASOOLULLAH S.A.W KA
QAUL YA AMAL KYA THA?
☀1. Hz. Anas R.z Farmate He
Ke Nabi S.a.w Aksar Aukat
Apna Sarr Mubarak Ko
Kapde Se Dhaanp Kar
Rakhte The..
(Sha’mail Tirmizi Safa 17)
Note- Aap S.a.w Har Waqt
Sarr Dhanka Hua Rakhte
Magar Sawal Uthta He
Kaise Wo Kaunsi Cheez
He??
Iske Liye Niche Wale
Hadeese Mulaiza Ho…
☀2. Hz. Abdullah Bin Umar
R.z Farmate He Ke
Rasoolullah S.a.w Safed
Rang Ki Topi Pehna Karte
The..
(Majmua Az Zawaid Jild 5
Safa 121, Bab- Topi Ka
Pehnna,
Tabrani)
* Imam Haismi Rah Ne Hadees Ko Sahi Kaha..
* Imam Tabrani Rah Ne Hasan Kaha..
* Imam Suyuti Rah Ne Hadees Ko Ala Darjeh Ki Sahih Kaha Hai..
(Dekhiye Sirajul Muneer Lil Suyuti Jild 4 Safa 112)
☀3. Abu sheikh rah riwayat
karte he ke Abdullah Bin
Abbas R.z se Ke Nabi S.a.w
Ke Pass 3 Topi Huwa Karti
Thi
(Bazlool Majhood Jild 6
Safa 52)
☀4. Hz. Ayesha R.z Riwayat
Karti He Ke Nabi S.a.w Ek
Safed Rang Ki Topi Pehna
Karte The Jo Sapat hoti Aur
Aap s.a.w ke mubarak sarr
se chipki hui hoti thi.
(Faizul Qadeer lil ibn
Hummam Jild 5 Safa 246)
☀5. Hazrat ayesha r.z se
marvi he ke nabi s.a.w jab
safar me jate to topi vo
pehte jo unke kaan mubarak
ko dhank leti aur jab
gharme rehte to patli si topi
pehte the..
(Faizul Qadeer Jild 5 Safa
246, Imam Iraaqi Maliki Rah
Sanad Ko Sahi Kaha)
☀6. Hz. Rokana R.z Riwayat
Karte he ke Rasoolullah
s.a.w ne farmaya hamare
(musalmano) aur mushriko
ke darmiyan fark topi ke
upar immama pehnepe he..
(Sunan Abu Dawood,
hd.no-948, Sunan Tirmizi
Hd.no-3919)
☀7. Rasoolullah S.a.w Se
pucha gaya ke ehraam ke
kapdey kistarah ke hone
chaiye?
Toh aap s.a.w ne farmaya-
“tum kameez, pajama,
immama ya topi na pehnna”
(Sahih Bukhari jild 1 safa
248 hd.no 1838)
Note- Sahih Bukhari Ki
Hadis Se Pata Chalta He Ke
Aksar Sahaba R.z  Kameez,
Pajama, Imama Ya Topi
Pehnte The Lihaza Aap
S.a.w Ne Ehraam Ki Halat
Me Yeh Sab Mana
Farmaya..
☀8. Hazrat Wael Bin Hujr Razi
Allahu anhu farmate hai ke
Mai agle Saal Huzoor
sallallahu alaihi wasallam ke
paas aya (to Maine dekha ke
Namaz me) Sahaba Razi
Allahu anhum ke (Jismo par)
Chadaren thi aur (SARON par)
Lambi TOPIYAN thi.
(Muajjamul Kabeer Lit Tabarani Jild 9 Safa 157, Sunan At Tahavi)
☀9. Hazrat Anas Bin Malik razi
Allahu Anhu farmate hai ke
Maine Rasoolullah Sallallahu
Alaihi wasallam ko Wuzu karte
hue Dekha. Ap sallallahu Alaihi
wasallam ke SAR MUBARAK
par QATRI PAGDI thi,
Ap ne Pagdi ke NEECHE se
hath Daal kar Sar ke Agle
Hisse par MASAH farmaya aur
Pagdi ko khola nahi.
(Abu Dawood)
☀10. Hazrat Abdullah Bin Omer
Razi Allahu anhuma farmate
hai ke Nabi Kareem sallallahu
alaihi wasallam jab bhi
AMAMA bandhte the to Apne
AMAMA ko apne Kandho ke
Maa bain(darmyan) latkate
the.
Hazrat Nafe’ farmate hai ke
Hazrat Ibne Omer Razi Allahu
anhu bhi Yunhi karte the aur
hazrat Abdullah kehte hai
maine Hazrat Qasim Bin
Muhammad(rahmatullahi alaih)
aur Salim rahmatullahi alaih
ko bhi Yunhi karte dekha hai.
(Shamail Tirmizi)
☀11. Anas Bin Malik Raz Se Riwayat He ke Rasul Ullah S.A.W Ko Dekha Apne Sarr Mubarak Pe Tel Bohot Zada Istemal Kiya Karte The Isliye Aap S.A.W Ke Sarr Mubarak Pe Jo Kapda Hua Karta Tha Vo Kapda Tel Lagne Ke Wajah Se Aise Hojata Tha Jaise Tel Bechne Wale Ya Tel Nikalne Wale Ka Kapda Hota Hai..
(Shaamail Tirmizi Safa 4)
* Yani Rasul Ullah Saw Itne Kasrat Se Sirr Mubarak Par Kapda Dhampa Rakte Ke Kapda Tel Bechne Walo Ke Kapdo Ke Barrabar Hojata..
☀12. Hazrat Faltan Bin Aasim Raz Farmatey He Ke Meine Rasul Ullah S.A.W Ko Dekha Aur Aap S.A.W Ke Sahaba Raz Ko Bhi Dekha Ke Woh Namaz Partey Waqat Apne Sarr Ke Upar Topi Rakhte Ya Phir Amama Ya Chadar..
(Muajjamul Kabeer Lit Tabrani Jild 9 Safa 157)
☀13. Jabir Bin Abdullah Raz Riwayat Karte He Ke Jab Fatah Makkah Hui To Mein Ne Dekha Rasul Ullah S.A.W Kaala Rang Ka Amama Pehne Huye The Aur Uske 2 Sirrhe Aap S.A.W Ke Mohndo Ke Darmiyah The..
( Sahih Muslim Abu Daud Sunan Tirmizi Ibn Majah Sunan Nasai )
☀14. Hazrat Hurais Raz Riwayat Kartd He Ke Nabi S.A.W Ne Kala Rang Ka Amama Pehna Hua Tha.
(Sahih Muslim 1/439, Musanaff Ibn Abi Shaiba 8/233, Shaamail Tirmizi Safa 8, Ibn Majah Safa 256)
☀15. Rasul Ullah S.A.W Farmate He- Amama Pehna Karo Kyuki Yeh Islam Ki Pehchan Hai Aur Musalman Aur Kafiro Ke Darmiyan Fark Karne Wali Cheez Hai..
(Khasail E Nabawi Safa 6 Hd.no- 8)
☀16) Hazrat Rokana Raz Se Riwayat He Ke Rasul Ullah S.A.W Farmate Ke Ke Hamare Aur Mushrikin Ke Darmiyaan Fark Karne Wali Cheez Topi Ke Upar Amama Hai..
(Sunan Abu Dawood Hd.no-4075,
Sunan Tirmizi Hd.no-3919)
☀17. Hazrat Abdullah Ibn Abbas Raz Se Riwayat He Ke Rasul Ullah S.A.W Sahaba Raz Se Gufta Gu Karte Waqat Kala Rang Ka Amama Pehne Huye The..
(Sahih Bukhari Jild 1 Safa 536)
SAHABA RAZIALLAHU
TALLANHUMA KA QAUL YA
AMAL..
☀1. Hasan Basri Rah
Farmate He Garmi Ki Wajah
Se, Sahaba R.z Sajda, Topi
Ya Imama Sahet Karte Aur
Unke Hath Kameez Ke
Asthin Ke Andar Hote..
(Sahih Bukhari Jild 1 Safa
56 Baab – Isbareme Ke Garmi Ke Mausam Me Topi Ya Pagdiyo Pe Sajda Karna)
☀2. Anas Bin Malik R.z
Hamesha Topi Pehna Karte
The..
(Sahih Bukhari Jild 2 Safa
863)
☀3. Hz. Ali Bin Abu Talib R.z
Ko Dekha Gaya Ke Vo
Safed Misri Topi Pehne
Huye The..
(Tabaaqat Ibn Saad Jild 3
Safa 187)
☀4. Zaid Bin Jubair Rah
Farmate He Ke Unhone
Abdullah Bin Zubair R.z Ko
Topi Pehne Huye Dekha..
Dusri Hadees Me..
Hishaaq Bin Urwa Rah
Farmate He Mein Ne Abu
Musa Ashari R.z Ko Baithul
Kanna(Toilet) se nikalte
huye dekha aur unhone topi
pehni hui thi..
(Musanaff Ibn Abi Shaiba
Jild 8 Safa 212,213,242)
☀5. Hazrat Abdullah Bin Omer
Razi Allahu anhu SAR par
MASAH farmate to TOPI Sar
se hata lete aur SAR ke AGLE
HISSE par MASAH farmate.
(Dar Qutni)
☀6. Hazrat Hasan Basari
rahmatullahi alaih farmate hai
ke Huzoor sallallahu alaihi
wasallam ke SAHABA RAZI
ALLAHU ANHUM NAMAZ me
SAJDA karte is haal me ke
Unke Hath kapdo me hote the
l8r unme so har ADMI apni
PAGDI par SAJDA karta tha.
(Mussanaf Ibn Abi Shaiba)
☀7. Hazrat Ali Raz Se Marvi He Ke Jo Namaz Parh Raha Ho Vo Sajda Peshani Pe Kare Aur Amama Hata Le
(Musanaff Ibn Abi Shaiba Jild 2 Safa 500)
* Yani Pagdi Ya Amame Pe Sajda Na na Kare Bulke Peshani Pe Kare..
☀8. Hazrat Ali Bin Hussain Raz , Hazrat Abdullah Bin Zubair Raz Aur Hazrat Abu Musa Ashari Raz Se Bhi Topi Ka Pehnna Sabit He
(Musannaf Ibn Abi Shaiba Jild 8 Safa 212..)
☀9. Hilal Bin Yasaf Rah Farmate Je Ke Jab Hum Wabisah Gaye Toh Sahabi E Rasool Ko Topi Pehne Huye Paya..
(Sunan Abu Dawood Hd.no- 948)
AIMMA AUR MUHADISEEN
KE AQWAL
☀1. Imam Shafi Rah Ke Mazhab Me Amama Ke Sath Namaz Parhna Mustahab He..
(Al Misri Safar Ke Muttaliq Safa 122)
☀2. Ibn Qudama Hambali Farmate He Ke Sawb, Silwar, Izhaar Aur Amama Ke Sath Namaaz Parhna Mustahab Hai..
(Al Mughni 1/404,405)
☀3) Imam Malik Rah Farmatey He Ke Amama Pehna Islam Ke Shuruwat Se Lekar Hamare Zamane Tak Chala Aaraha He Aur Ahle Ilm Mese Yahya Bin Sa’eed Rah, Rabi’a Aur Ibn Hurmuz Ko Kasrat Ke Sath Pehna Hua Dekha Aur Yeh Hazrat Rabi’a Rah Amama Ko Sote Waqat Utarte The Aur Unke 30 Shagird Bhi Aisa Karte Jisme Me(Imam Malik) bhi Shamil Hu, allah ki Kasam Amama Ke Pehnnese Aqal Badhti He..
(Al Jami Fi Al Sunan Lil Ibn Abi Zaid Safa 228, 1982 edition)
☀4) Shaik Abdul Qadeer Jilani Rah Farmatey He Acche Logo Ki Addat Thi Ke Woh Apne Sarr Dhamp Ke Rakhte The..
(Gunyatul Taalibeen Jild 1 Safa 14)
☀5) Allama Qastallani Rah
Farmate He Beshaq Bina
Kisi Shaqq Ya Shuba Ke
Nabi Ke Sahaba R.z Topi
Pehna Karte They Jinme
Abu Bakar, Abdullah Ibn
Abbas R.z Jaise Sahaba R.z
The Unke Alawa Tabain Bhi
The Jaise Ibn Abu Laila
Wagaira
(Sharh Bukhari lil Imam
Qastallani)
☀6) Imam Iraaqi Al Maliki
Rah Farmatey He Topi Nabi
S.a.w Ki Sunnat He..
(Akhlaak-E-Nabwi)
☀7) Fuqaha Rah Farmatey He
Ke yeh Makrooh mese He ke
Susti ya kotahi ke wajah se
namaz me topi na pehna
jaye..
(Al Fiqh Al Islami, Baab Ul
Makroohat E Salaah)
☀8) Hanafi Fuqaha Rah Ka
Farman He “Susti Ke Bina
Par Topi Na Pehnna
Makrooh Hai”
(Durre Mukhtar Jild 1 Safa
474, Raddul Mukhtar Jild 1
Safa 474)
☀9) Mulla Ali Qari Hanafi Rah Farmate He Ke Islam Ke Pehchan Topi Pehne Me Hai..
(Mirqaat Al Masabih Jild 8 Safa 246)
☀10) Ibn Jauzi Rah farmate He Ke Sirr Ko Langa Rakhna Acche, Sacche Logo Ki Pehchan Nahi He..
(Fatawa Rasheediya Jild 1 Safa 308)
GHAIR_MUQALLIDEEN
KE BUZURG
RAHIMAHULLAH KE
FATWE..
☀1. Maulana Sanaullah
Amritsari Rah Farmate He
Ke.. “Masnoon Namaz Ka
Tareeka Wahi Hai Jo Aap
S.a.w Se Bildawaam Sabit
Hua Hai Yani Badan Par
Kapde AUR SARR DAKHA
HUA HO PAGDI SE YA TOPI
SE..
(Fatawa Sanaiya Jild 1
Safa 525)
☀2. Maulana Abu Saeed
Sharfuddin Rahima Hullah
Likhte Hain Nange Sar
Namaz To Hojayege Magar
Sar Dhapna Accha
(Mustahab) Hai, Aap S.a.w
Namaz Me Aksar Imama Ya
Topi Pehne Rehte The.
(Fatawa Sanaiya Jild 1
Safa 523)
☀3. Ghair Muqallid Syed Muhammad Daud Ghaznavi Rah Apne Walid Imam Abdul Jabbar Ghazvi Ghair Muqallid Rah Ka Qaul Naqal Karte He Ke-” Agar Nange Sarr Namaz
Fashion Ki Wajah Se Padhi
Ho Toh Namaz Makrooh He,
Agar Khushi Ke Liye Hai
Toh Tashbi Nasara(Eshaiyo
Ke Jaisa Amal) Islaam Me
Siwaye Ihraam Ke Nange
Sar Rehna Khushu Ke Liye
Nahi, Agar Susti Ki Wajah
Se He Toh Munafiqeen Ke
Addat He Ghary Harr
Lihaaz Se Napasandida(Mak
rooh) Hai”..
(Fatawa Ulama-E-Ahle
Hadees Jild 4 Safa 291)
☀4. Sindh Ke Bade Mautabar Ahle Hadees Alim Syed Mohib Ullah Shah Rashidi Maujooda Haal Bayan Karte Huye Likhte He Ke” Aksar Aur Bestar Aukat Nabi E Kareem Salalallahu Alaihi Wassalam Aur Sahaba Razj Aahu Talla Ajmain Sarr Par Amama Ya Topiya Hoti Thi, Siwaye Hajj Aur Umrah Ke Maukepe Koi Aisi Sahi Hadees Nahi Milti Ke Jisme Yeh Maujood Ho Ke Nabi E Kareem S.A.W Nange Sarr Ghumtey Firte The Ya Kabhi Sarr Mubarak Par Amama Wagaira Tha Lekin Massjid Me Aakar Amama Wagaira Rakh Diya Aur Lange Sarr Namaz Parhna Shuru Kardi!! Mere Samne Istarah Ki Koi Riwayat Nahi Aayi..
(Al Iteesam Jild 45 Shumara No. 27, 22 December 1989)
☀5. Ghair Muqallid Ubaid Ullah Khan Aqeebi Rah Farmate He “Namaz Parte Waqt Topi Ya Pagdi Rakhni Chaiye, Insan Ko Lange Sirr Parhna Theek Nahi(Makrooh Hai)
(Fatawa Muhammadia Jild 1 Safa369- Tarteeb Dene Wale Mufti Mubbasir Rabbani Ghair Muqallid)
SHAIKH NASEERUDDIN ALBANI RAHIMAHULLAH KA WAZE QAUL AUR LALKAR
☀1) Ek jagah Shaikhul Albani Farmate He Ke- “LANGE SARR NAMAAZ PARNA MAKROOH HAI”
Nez Farmate he Jo Log Nange Sarr Namaaz Parte He Unke Pas Jo Dalil He Ke Hzrat Ibn Abbas Raz Ne Farmaya Ke Rasul Ullah S.A.W Baaz Aukat Apni Topi Nikal Kar Apne Samne Sutra Ke Liye Rakhte Yeh Hadees Zaef He..
(Al Qawl Al Mubeen Fi Akhta Al Musallin Safa 58, 2nd Edition Min Mashhur Hussain)
☀2) Aur Ek Jagah Albani Rah Farmatey He Ke- ” Sivaye Hajj Ke Kabhi Bhi Lange Sarr Namaz Parhna Sabit Nahi..
(Tamaam Ul Minnah Fi Ta’leeq Alaa Fiqh Us Sunnah Lil Allama Naseeruddin Albani Rah)
☀3) Aur Ek Jagah Chalenge Karte Huye Shaikhul Albani Rah Farmate He..
“SALAF KA MAMOOL THA KE VO LANGGE SARR NAMAZ NAHI PARTEY THE NA HE MASJID AUR RAASTE PAR LANGE SARR FIRTEY THE BULKEY YEH (LANGE SARR FIRNA) TO KAFIRO WALA HE, AUR RASUL ULLAH S.A.W SIRF HAJJ ME LANGE SARR NAMAZ PARTE AUR ISKE ALAWA HUME AJJ TAK SAHIH HADEES NAHI MILI LANGE SARR NAMAAZ PARHNEPE JISKO MIL JAYE HUMME BHI DIKHAYE AKHIR SACCH SACCH HOTA HE”
(AL Din Al Khalis 3/214,
Al Ajwiba Al Nafi’a An Masa’il al Waqi’a Safa 110)
HASIL
In Sab Dalail Wa Behas Ke
Baad Pata Yeh Chalta He
Ke Sarr Dhamp Kar Namaz Parhna Sunnat E Rasool Wa
Sahaba Hai Aur Namaz Me
Bila Kisi Ujar Ke Tark
Karna Napasndida Hai Yani
Makrooh Hai..

0 comments:

Post a Comment

Visitors

Flag Counter